BADNAAM MAIRAY PIYAR KA AFSANA HOWAA HAY
Badnam mere pyar ka afsana howa hay
Deevaanay bhi kehtey hain kay deevaanaa howa hay
Rishta tha tabhe to kisi baydard nay tora
Apna tha tabhe to koe begana howa hay
Badal ke tarah aa kay baras jae ek din
Dil aap kay hotay howe veerana howa hay
Bajtay hain Khayaloon mein tere yaad kay ghungaroo
Kuch din say mera ghar bhe pareKhaana howa hay
Mausam nay banaya hay nigahoon ko sharabee
Jis phool ko dekhoon wahe paimana howa hay